Friday, March 1, 2013

Mahakumbh Mahaprayag me 10 Din

Mahakumbh Mahaprayag me 10 din kaise nikle pta na chala. 15 Feb subah Delhi se Allahabad pohonche, Maharishi Mahesh Yogi ke Allahabad me ban rahe Smarak Samadhi Mandir ka sthapna divas usi din tha, aur hume Maharishiji ki sanstha ke sewakon ne amantrit karke wahan aane ki prarthna ki thi...to pehle din wahin jana hua...unke kitne hi videshi bhakton ne bhi humara swagat kiya. 15 va 16 Feb ko Kumbhnagri per Indradevta ki khub kripa barsi...itni kripa barsi ki mela kshetra ke kayi pandalo ki vyvastha ast vyast ho gayi...per sabhi shraddhaluon ki shraddha ko sadhuvaad hai, yeh vikat paristithi unko nirash na kar saki...sabhi Kumbh ki adhyatmic mehatvata se parichit hain, ishwariya vatavarn me khud ko sarabor karke sabhi ne iss durlabh avsar ka anand uthaya.
17 Feb sandhya per Saccha Baba ashram ke sewakon ne hume Triveni Sangam per aarti ke liye aamantrit kiya. Itna sundar nazara tha...Ganga,Yamuna,Saraswati ka sangam...Surya ki laali sangam va ambar per apne rang bikhere hue maano sabhi ko paramtma ke rang me rangne ka sandesh de rahi thi.
Aage ke do teen din ashram me aaye sadhko ko satsang ka ras-paan kara kar sham ko mela kshetra me brahman ke liye nikalte the. Saubhagya se Vrindavan ke Swami Shri Rajendra Dasji ki Shrimad Bhagwat Katha me bhagidaar hone ka avsar mila. Hum to sehaj me ja kar pandal me anya shrotaaon ke saath ja kar katha shravan karne baithe...kya maloom kahan se Swamiji ke sewakon ne hume khoj liye aur atyant aagrah karke manch pe Swami Rajendra Das ke sameep aasan laga diya. Swami Rajendra Das ji bhi humse milkar gad gad ho gaye,..humara swagat karke humare padharne per bahut anand va abhaar vyakt kiya.
Ek din jab Triveni per snan karne gaye, kitne hi videshi shraddhaluon ne humse adhyatmic margdarshan lene ki iccha vyakt ki. Unki baaton se aisa lga ki vey Kumbh me maansik shanti va adhyatmic unnati va jivan ki param khoj karne hetu aaye hain, per sahi maarg se vanchit hain. Humse mil kar jaise unhe ek nayi disha mili...apni manzil ka pta kuch kuch samajh aane laga...raasta unhe zarur kathin lag raha tha, per ab aisa lagaa ki manzil ek na ek din mil hi jaayegi...
Raat me Rishikesh ke Chidanand Saraswati ji se bhent hui....bon fire ke sundar vatavaran me desh videsh se aaye hue bhakton ke saamuhik kirtan ne pure mela kshetra ko gunjaayemaan kar diya.
22 se 24 Feb Baap Dham me Allahabad Samiti ne satsang aayojit kiya. Humare desh videsh ke bhakton ne humare darshan amritvachano ka labh Disha channel ke madhyam se raat 9:45 pe liya. 24 ko hum Agra ke liye nikal pade aur 25 subah Purnima darshan Agra ashram me diye...