Thursday, August 23, 2012

Singapore ki Dharmyatra ...21 August se....

Singapore ke bhakto ka pragaad prem hume 2 saal mein fir yahan kheench laaya. Per iss baar inko apne bhagya per vishvas nahi ho raha tha...20 ghante mein hi humara Singapore jaana tay hua. Samiti ko jaise hi suchna mili ki hum Singapore aane waale hain, unke utsah aur harsh ki seema na rahi. Samiti ke sadsya Jignesh, Vashishth aur Hemant soch mein padh gaye ki itne kam samay mein hamari vyavastha aur satsang karyakram kaise ayojit hoga? Mujhse thoda aur samay lene ki prarthna karne lage.. Par hamne kaha - hamari vyavastha ki chinta mat karo, jis parmatma ke prem ki jyot jagaane ke liye main vahan aa raha hu, vo khud hamari vyavastha karega. Yeh sunn kar unka utsah aur prabal ho gaya. 21 August ko Hamare wahan pahaunchne per unke bhaav aansuo ke roop mein pragat hue....

....Parso subah East Coast ke pas Gunjan bahan ke ghar prarthana sun jana huva..








Vo itani bhav vibhor aur gadgad hui ki boli -"mujhe abhi tk vishwas hi nahi ho rahaa !! kahi main sapna to nahi dekh rahi ??" fir apne apko sambhalte hue usne hamaari yathochit aavabhagat kee.

            Unke ek floor upar Manjula Patel ka ghar tha.Inhone isi gurupoornima ko online (live) diksha lee hai. Bahot hi dharm premi dampati he ye!


Vayovriddh mata ji ne Sundar shloko ke sath hamara poojan aur swaagat kiya..Unki shraddha aur bhartiya sanskriti ka jatan dekh ati prasann hokar hamne kaha-"Bade garv ki baat hai itne saalo se yaha rah rhe ho par apni sanskriti ko nahi bhule...Aap to sachmuch Singapore ki Ma Shabri ho !" unhone kaha - "Varshon ki tapasya aur prateeksha ke baad Ramji shabri ke dwar pahunche...Sach me aaj hamaari pujaaye, prarthanaaye, jap-tap, satkarm safal hue, saarthak hue jo aap Sainath hamare ghar padhaare ho...."

....Dopahar me yahan k sanaatan dharm sthano pe research hui - Hindu endowment board, Shantigiri ashram, Aurobindo ashram, aur bhi temples...

....Shaam ko bukit batok me manoj bhai k khub vinti karne par unke ghar jana hua...Vahan kafi Indian families ekatrit hui...Hame apne beech paakar aur divya satsang amritpaan kar sabke hriday kamal khil gaye...Alag si muskan, anokhi tripti..anupam aanand unke chehre par chhalakne laga...Ve kehne lage- "yaha videsh me rahte rahte prem-bhavna- khushi - samvedna sab shushk si ho gyi hain, lekin aapke darshan kar, apke amritvacahn sun aisa lag rha hai ki mano.. koi dil ke bahot kareeb..hamaara apna aaj mila ho...bichhda pyaar firse paya ho...barso se chhaye andhakaar me kisi ne Jyot jalaa dee ho..khoyi hui khushahali vaapas laut ayi ho..."
....Niche kuchh chinese log apni parampara anusar kuchh vidhi kar rhe the.. jo apne shraadh ki hi tarah hai..Ve purvajo ko ann ki jagah paise ( nakli note) dete hain. Ham use dekhne lage, chinese logo ne hamara swagat kiya aur hame bhi isme bhag lene ki vinti ki...Bhala hame isme kya aitraj? Hame to'Vasudhaiv kutumbakam'..Sara vishwa hi hamara parivaar hai.. Hamne unki vinti saharsh swikar kee aur lag gaye unke sath unki vidhi karne.. sabhi bhakt bhi lag gaye.. achha khasa mela sa lag gya.. chinese logo ne hamaari photo lene hetu prarthna ki...Ha kah diya to khush hokar unhone hame apne camere me aur hamari yado ko apne dil me kaid kar liya...


Tuesday, August 7, 2012

Vishakhapatnam se Delhi...Delhi mein Pustak Vimochan

Kal shaam Vishakhapatnam se Hyderabad hote hue Delhi ki flight li. Shaam ko 6.20 per Delhi aiport per  bhakt humare swagat ke liye pahaunche. Parivartan institute ke honhar, sanskari bacche aur yuvak bhi humara darshan aur swagat karne airport per aaye...
Shaam ko T3 ashram ke lawn mein, vat vriksh ke sameep satsang kiya....Sabhi baccho aur shraddhalu bhakto ne pehli baar Shirdi Sai Baba, Satya Sai Baba aur Prem Sai ke avtar ki katha sunn kar vilakshan anand aur ascharya ka anubhav kiya....sabhi ke liye apne saubhagya ka anuman lagana kathin siddh hua....
Iske baad Rajokari ashram mein Pujya Bapuji ke sannidhya mein sabhi ko darshan ka labh mila...
8 August subah, T3 ashram mein itihaskar T.S.Dhama ke anusandhan per aadharit, lekhak
Jaiprakash Sharma ji dwara likhi gayi pustak, Betaaj Baadshah, ka vimochan hua. Pustak mein Jaiprakash Sharma ji ne Samay Ram Baba ki jeevangatha per prakash daala hai aur unki Sanatan sanskriti ke prati sewa aur samarpit jivan ke kaaran unko Betaaj Baadshah ka khitaab diya...Pustak vimochan T.S.Dhama ji ne pustak ka vimochan humare dwara karaya...


Vishakhapatam Mein Yaadgaar Din...


Vizag yani Vishakhapatnam mein humara pehli baar kareeb 7 saal pehle aana hua tha…11,12,13 February 2005 mein Baapuji ke saath hum yahan satsang karyakram nimmit aaye the aur uske baad kal, 6 August 2012 doosri baar aaye. Bahut garv hota hai yeh batane mein ki Vizag ki samiti ko iss baar 24 ghante ka samay bhi nahi mila tha, per humare aagman aur satsang ki bahut sundar vyavastha karne mein who chuke nahi. Shanivar raat ko humare Vizag padharne ka sandesh mila, aur raat-o-raat yahan ke sewa-nishth bhakto ne flex, pamphlet, sms, phone dwara satsang ka prachar prasar karke gyan-bhakti utsav ka karyakram ekdum badhiya dhang se Sathya Sai Baba hall mein aayojit kar liya. Samiti ke adhyaksh Rajkumarji ka yogdaan aur bhakti-bhaav sarahniye tha. Satsang poora hote hote hall mein itne shraddhalu aa pahaunche ki sab samaa hi nahi paaye. Sabhi 7 saal ke lambe intezar ke baad darshan aur satsang ka achanak saubhagya prapt karke bhav-vibhor ho gaye,  un sabka yehi kehna tha ki unhe vishvas hi nahi ho raha ki wo Saiji ko ru-ba-ru dekh rahe hain, sunn rahe hain, aur unke saanidhya mein bhakti-gyan varsha ke ras mein bheeg rahe hain. Sadhako ko apne vartman per vishvas kar paana maano kathin sa lag raha tha, sabhi mandramughdh ho gaye, itni prassannata aur anand achanak mil jana sabko ashcharyachakit kar gaya.


Aaj ki subah hum bhraman ke liye dolphin hills gaye, prakritik sundarta se paripurna aise ramniye pahadi sthal ne aaj hume bahut dino baad photography karne per utsahit kiya.  Gangadhar mandir aur uske aas paas ka drishya aapke liye apne camera se capture karke laaya hu…

Tripathi ji ki red i20 ko hum swayam drive karke fir Rishikonda beach pahaunche, beach mein snan kiya aur apne camera mein wahan ke shaant, anupam drishya ko qaid bhi kar liya. Aayiye aapko bhi iss blog ke maadhyam se Vizag ke prakrit nazaaro ki jhalak dikhayein…
Iske paschat hum Ramakrishna ashram gaye, jahan ke swamiji ne humara khub vinamrta aur sneh se swagat satkar kiya. Unhone humse dobara padharne ki prarthana ki aur unhe sewa ka avsar dene ka agrah kiya. Itna prem karne wale bhakto ke vash ho kar fir apna zor kahan chalta hai…Tripathi ji ki prarthna sweekar karke unke ghar bhojan kiya, aur uske baad Vizag ki Saroj ji ki prem bhari vinnatiyo ka dhyan rakhte hue unke ghar charan dale. Pehli baar aaj 7 August ko humne tiles pe charno ke chinnh diye. Tripathi ji bhi yeh avsar kaise chukte, unhone bhi tile per humare charno ke chinh lene ki prarthana ki…aur apni prarthna poori hone per gad gad ho gaye. Saroj ji ke ghar se nikalte samay unki deewar per kalatmak prakar se ishwar ne humse na jaane kaise kaise suvakya likhwa diye…bhakt aisa drishya dekh kar anandvibhor ho gaye…Saroj ji ki khushi ka to koi thikana hi nahi tha…


Vizag ke bhakto ki shraddha, utsah, aur humare prati prem anirvachaniye tha. Issi prem ke vash ho kar aaj ek aur satsang ka satr de diya…

Satsang ke baad humare ek jeweller bhakt ke ghar mein charan dale. Uske paschat Tripathi ji aur Ram Lakhan Yadav ji ko apne saath i20 mein baitha kar Sinhanchalam gaye…jahan jaate samay ek saap hume raaste mein dikha…jab hum laute to wohi saap usi jagah per baithe maano humare darshano ki raah dekh raha tha…usne humare lautne ke baad hi wo sthan chhoda…


Vizag mein sirf 2 din mein itna anand paya aur lutaya…bhakto ki tadap aur prem aur badne lagaa hai…unke sankalp hume jaldi yahan wapas bulaayenge….