Sunday, April 15, 2012

Satsangiyon ne kiya Sharma Complex ke ground ko chota

Parso raat ko lagbag 10.45 baje tak vyaspeeth pe hi the. Phir kal raat ko bhi satsangiyon ka apaar utsah dekhkar 10 baje tak vyaspeeth pe hi hari-ras mein, hari-charcha mein, hari-dhyaan mein jhoome aur jhoomaye. Sadhakon ki juti beed ne Sharma Complex ke bade ground ko bhi nanha sa bana diya. Stall ke sewa dariyon se pata chala ki Ashram ke CD, sahitya aur ayurved saamagriyon ko pane mein bhi sadhakon ne khoob utsah dikhaya aur maasik patrika "VishwaGuruOjaswi" ke bhi kayee naye sadasya bane. Kuch sadhakon ki vishesh vinati, aagreh aur unki shraddha dekhkar kal raat ko satsang ke baad Bhandup aur Mulund unke nivaas pe bhi kuch kuch minato ke lia gaye. Aaj subah subah phir jaldi uthe aur lagbag 7 baje gaadi se Sreenagar, Thane pahuche. Yahan pahaad ki taekri pe sthit bada hi sundar dakshin Bharat (visheshkar kerala) ke nivaasiyon ki shraddha ka sthan "Ayyappa Mandir"hai, iske charon taraf khula hara-bhara vaatavaran hai jis kaaran hume yahan samay vyateet karna aur bhi acchha laga. Subah-subah ki shuddh-sheetal hava mein gine chune sadhakon ke beech satsang bhi hua. Phir mandir se nikalkar dobara kuch sadhakon ke anurodh pe unke nivaas pe jaldi-jaldi thoda samay bitaya, aur pahuche vaapis apne sthan pe....  Om Aanand... Om Prasannta...  

Saturday, April 14, 2012

Satsang Ki Mahima

Mann ko ekagra karna ke lia sant-vachan jaisa sur koi sugham, srestha evam pavitra sadhan nahi hai. Apne aap mann ko ekagra karna mein bahut mehnat padti hai parantu jab sant aatma-parmatma ko chukar bolte hain, tab unki vaani sunte-sunte mann anayaas hi saatvik, shuddh, ekagra hone lagta hai, gyaan sampann evam prasann hone lagta hai aur parmatma mein lagne lagta hai. Issiliye satsang ki badi bhaari mahima gaayi gayi hai. Aatm-siddhi ke lia satsang jaisa zoardaar aur tez-taraar aur doosra koi sadhan nahi hai.... Om Om Om

Friday, April 13, 2012

Aaj pehla din Bhandup mein Satsang

Delhi se Mumbai aaj din mein 12 baje aaye aur Airport pe bhakton ne swagat kiya. Vahan se Bhandup aagaye, yahin Sharma Complex mein satsang ka aayojan kiya gaya hai. Kayee bhakt, satsangi, sadhak yahan satsang ka labh lene ke lia aaye the aur satsang ke agle do din bhi, jaise-jaise auron ko jaankari hogi aur adik sadhak aayeinge. Aaj poora maidaan sadhakon se bhara hua tha aur pandaal chota padgaya tha. Teeno din ke satsang mein keval sham ka hi satra rakha gaya hai. Par bhakton ka utsah aaj dekhte hi bann raha tha.
Satsang ki aadhi gadi, aadhi mein puni aad...
Tulsi sangat sadhu ki, hare koti apraad.....

Thursday, April 12, 2012

Aaj bhaag liya "Guru-Sangamam" mein, aur phir aaram mein rahe.

Aaj subah 3 baje Daund se Pune ke lia nikle sur Pune se flight lekar subah 8 baje Delhi pahuche. Yahan Delhi mein Guru-Sanghamam naam ke sant-sammelan mein bhaag lene ke lia aaye the, jo subah 11 se 4.30 baje tak tha. Saare desh ke kayee anya prakhyat sant jaise Shri Shivratri Deshi Kendra ji, Shri Jaggi Vasudev ji, Shri Ravi Shankar ji, Shri Ramdev Baba, Shri Chidanand Saraswati ji, aadi iss sammelan mein bhaag lene pahuche the. Sant Sammelan mein bhaag lene ke pashchaat aaraam mein hi samay bitaya. Yahan se phir kal Mumbai ka karyakram hai jahan jane ke lia subah 10.05 baje ki Kingfisher ki flight hai jo 12.10 baje Mumbai pahuchegi. Aur vahan Bhandup mein teen din ke satsang ka aayojan kiya gaya hai. 13 se 15 April tak.  Aum aanand... Aum prasannta... Aum shanti...

Wednesday, April 11, 2012

Daund mein manaya sabhi bhakton ne Pujya Bapuji ka avtaran-divas

Aap sabhi ko Pujya Bapuji ke avtaran divas ki khoob khoob badhayi. Aaj Daund- Maharashtra mein Bapuji ke avtaran-divas ke paavan avsar pe bhakton, shraddhaluon ne satsang ka laabh liya aur unn amrit-mayi ghadiyon ko hum sabhi ne milkar utsav ke roop mein manaya jis din aaj se 71 varsh poorva jann-manas ke dukh, dard, rog, shok, chinta, bhay mitane aur samaj ko ek nayi disha dikhane ke liye Gurudev ka avtar hua tha. Aaj yahan ke karayakram ki poorn-aahuti hui aur kal subah-subah hamara yahan se Pune aur Pune se Delhi jana hoga. Delhi mein hi "Guru-Sangamam" naam ke aadhyatmik sangh ki baethak bhi hai, jis mein Bharat bar ke aanya kayi sant bhaag le rahe hain. Is sangh ka uddeshya bharat ko vishwa ki adhyatmik-rajdhani evam adhyatmik-mahashakti ke roop me ubharna hai. Bharat ko paschim me kayi varsho se ek viksit desh ke roop me nahi dekha jata. Isi kaaran bharat ke adhyatmik dhan ko bhi andekha kar diya jata hai. Is sangh ka uddeshya bharat ki puratan adhyatmik dharohar evam sanskaron ke vaigyanik rahasya ko smagra vishwa ke samne prastut karna hai. Aur kisi bhi saadharan manushya ke samne ek aisa manch banana hai jis par voh sulabhta evam shighrta se apna vastvik kalyan kar sake...  Aum Utsav... Aum Aanand..